tu samne hai par teri ab bhi kami hai dost

tu samne hai par teri ab bhi kami hai dost
dariya ke pas hote hue tishnagi hai dost

duniya se ja raha hun kisi ki talab liye
waise ye zindagi badi achchhi kati hai dost

ye falsafe lapet ke tum jeb mein rakho
main khub jaanta hun mohabbat buri hai dost

ab to bata ki kya hai ye tere khayal mein
jitna main jaanta hun mohabbat yahi hai dost

aisa nahin ki aankh mein aansu bache faqat
in aansuon ke sath mein ek khwab bhi hai dost

sach-much to koi tod ke lata nahin hai chand
ye shairi hai aur faqat shairi hai dost

pane ki zid na koi bichhadne ka khauf hai
achchha hai tujh se ishq nahin dosti hai dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close