palkon pe intizar ka mausam saja liya us se bichhad ke rog gale se laga liya koi to aisi baat thi hum kuchh na kar sake sare jahan mein khud ko tamasha bana liya ab ye kise bataen hamein kya khushi mili jis din zara sa bojh kisi ka utha liya main umr bhar na jaane bhatakta kahan kahan achchha hua jo aap ne apna bana liya kitne sakun se kat di purkhon ne zindagi jo mil gaya nasib se chup-chap kha liya ahbab ko na dijiye ilzam dosto hum ne to dushmanon ko bhi apna bana liya guzre hain zindagi mein bahut tajrabaat se lekin 'ashok' jine ka andaz pa liya