mit gaya gham tere takallum se lab hue aashna tabassum se kis ke naqsh-e-qadam hain rahon mein jagmagate hain mah-o-anjum se hai zamana bada zamana-shanas kabhi mujh se gila kabhi tum se nakhuda bhi mila to aisa mila aashna jo nahin talatum se us ne aa kar mizaj puchh liya hum to baithe hue the gum-sum se nakhuda ne dubo diya un ko wo ki jo bach gae talatum se zindagi hadson ki zad mein hai koi kaise bache tasadum se saya-e-gul mein baithne walo guftugu hogi dar par tum se main ghazal ka asir hun 'ejaz' sher padhta hun main tarannum se