palkon pe larazte rahe aansu ki tarah hum ghar mein tere mahka kiye khushbu ki tarah hum suraj ke liye chhoda tha us ne hamein phir bhi raaton ko satate rahe jugnu ki tarah hum aate rahe jate rahe kashti ke musafir pairon se lipatte rahe baalu ki tarah hum rekha hai khinchi aur na hai sita koi ghar mein is shahr mein kyun phirte hain sadhu ki tarah hum ghairon se zyaada hamein apnon ne sataya is mulk mein zinda rahe urdu ki tarah hum