nur andhere ki fasilon pe saja deta hun main siyah-bakht charaghon ko jala deta hun pahle ek jism banata hun kisi phul pe phir ek chehra kisi patthar pe bana deta hun din nikalte hi kise dhundne jata hun main raat ke pichhle pahar kis ko sada deta hun ek arse se gham-e-hijr mein masruf hai tu aa mere dil mein tujhe kaam naya deta hun mujh sa sade bhi koi hoga zamane mein ki main apne qatil ko bhi umron ki dua deta hun bahte dariya ka badan dhank ke khushk aankhon se mom ke qalb ko patthar ki qaba deta hun mustaqil rah-e-sukhan ka hun musafir 'nayab' gar thakan likh dun waraq par to mita deta hun