palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun bahar se bhi bechain main andar ki tarah hun bahar se mere jism ki diwar khadi hai andar se main ek tute hue ghar ki tarah hun nazron se gira do ki mujhe dewta mano patthar ke tarashe hue paikar ki tarah hun chhai hain mere sar pe siyah-posh ghataen main subh mein bhi sham ke manzar ki tarah hun andar ki chatanon se na takra ke bikhar jaun main biphra hua khud pe samundar ki tarah hun tum jalwa-numa ho to khuli hain meri aankhen aa lipto badan se to main chadar ki tarah hun rahta hai kahin jism bhatakti hai kahin ruh ghar mein hun magar aaj main be-ghar ki tarah hun aqdar ki uthti hui diwar mein chun lo raste mein pada main kisi patthar ki tarah hun