hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye safar mein the safar ka e'tibar le ke chal diye sadak sadak mahak rahe the gul-badan saje hue thake badan ek ek gale ka haar le ke chal diye jibillaton ka khun khaulne laga zamin par to ahd-e-irtiqa khala ke par le ke chal diye pahad jaisi azmaton ka dakhila tha shahr mein ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye jarahaten milin hamein bhi inkisar ke ewaz jhuka ke sar sadaqaton ki haar le ke chal diye