palkon pe sitara sa machalne ke liye tha wo shakhs in aankhon mein pighalne ke liye tha wo zulf hawaon mein bikharne ke liye thi aur jism mera dhup mein jalne ke liye tha jis roz tarashe gae ye zakhm usi roz ek zakhm meri ruh mein palne ke liye tha us khwab ki tabir mujhe milti bhi kaise wo khwab to afsanon mein dhalne ke liye tha jis rah ke patthar ko 'rawish' kos rahe the wo rah ka patthar to sambhalne ke liye tha