palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya dariya darun-e-halqa-e-girdab rah gaya ye kaun hai ki jis ko ubhaare hue hai mauj wo shakhs kaun tha jo tah-e-ab rah gaya nakhl-e-ana mein zor-e-numu kis ghazab ka tha ye ped to khizan mein bhi shadab rah gaya kya shahr par khuli hi nahin aayat-e-khulus kya ek main hi waqif-e-adab rah gaya kuchh zikr-e-yar jis mein tha kuchh zikr-e-wasl-e-yar tadwin-e-zindagi mein wahi bab rah gaya jo shai yahan ki thi wo yahin chhod di magar aankhon ke bich ek tera khwab rah gaya dekha jo phir se jaanib-e-dariya rawan mujhe bal kha ke apne aap mein girdab rah gaya 'anjum' teri zamin abhi kitni dur hai koson-pare to qariya-e-mahtab rah gaya