mere junun ko hawas mein shumar kar lega wo mere tir se mujh ko shikar kar lega mujhe guman bhi nahin tha ki dubta hua dil muhit jism ko ek roz par kar lega main us ki rah chalun bhi to faeda kya hai wo koi aur rawish ikhtiyar kar lega fasil-e-shahr mein rukne ki hi nahin ye khabar jo kaam hum se na hoga ghubar kar lega wo gul-badan kabhi nikla jo sair-e-sahra ko to apne sath hawa-e-bahaar kar lega jahan pe baat faqat naqd-e-jaan se banti ho wo khush-kalam wahan bhi udhaar kar lega hum aise log bahut khush-guman hote hain ye dil zarur tera e'tibar kar lega khulega is pe hi 'anjum'-khaliq bab-e-qubul jo apna haqq-e-talab ustuwar kar lega