pamal-e-khiram-e-naz kije thukraiye sarfaraaz kije dil tum ne liya zaban de kar aashiq ka na fash raaz kije soz-e-tap hijr ka ye hai hukm tan sham-e-sifat gudaz kije mahmud hua hai husn sahab pahle mujh ko ayaz kije ho koi qaza jo baada-khwaro bhatti pe ada namaz kije kahta hai ye naz-e-dil-rubai ai aashiqo jaan niyaz kije na-saz zamane ka nahin gham han kar zamana-saz kije ghairon se to hai 'waqar' behtar ab aap bhi imtiyaz kije