pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai honton par aate har qatra sukh raha hai andhe ho kar baadal bhage phirte hain gate gate ek parinda aag hua hai phul aur phal to taza konpal par aate hain pila patta is wahshat mein tut raha hai gardish gardish chalne se hi kat paega chaaron jaanib ek safar ka jal bichha hai usi ped ke niche dafn bhi hona hoga jis ki jad par main ne apna nam likha hai