sochta bolta ek naya aadmi ho gaya aakhirash lapata aadmi chhod jata hai aisa khala aadmi bhar hi sakta nahin dusra aadmi pa gaya tha yaqinan to sachchai ko ye tera jurm hai gum-shuda aadmi zindagi bhi yunhi hath aati nahin us ko bhi chahiye sar-phira aadmi kufr to farz hai aise mahaul mein ho jahan aadmi ka khuda aadmi ek tadap ek lagan ek junun chahiye wo bhi kya aadmi jo nira aadmi pattharon se lipatte hue ro pada aadmi ka sataya hua aadmi ahd-e-nau mein yahi meri tarif hai main gharib aadmi main bura aadmi