pani nahin mazid mayassar se kya baid jinping se kya umid narendr se kya baid hum takht par bitha den samajh kar jise husain andar se ho yazid sikandar se kya baid purse ko aae aur mera dard bhag jae phir zakhm de shadid sitamgar se kya baid khwahish ko wo dikha de haqiqat ka aaina ho har dua shunid muqaddar se kya baid wo dil dimagh aur zamanon ke qufl ki de de mujhe kalid qalandar se kya baid jab dubne ka waqt ho ji ubne ka waqt us ki ho yar id samundar se kya baid tujh mein dikhen hazar hazaron mein tu dikhe mashkuk jab ho did to manzar se kya baid 'aswad' ajab nahin ki riwayat rahe mudam kah de ghazal jadid sukhan-war se kya baid