panw dekhegi na taKHir ka dukh samjhegi

panw dekhegi na takhir ka dukh samjhegi
kaise manzil kisi rah-gir ka dukh samjhegi

kab samaat pe koi harf-e-sada utrega
kab wo dastak meri zanjir ka dukh samjhegi

aks kar dunga main diwar par apna chehra
aur duniya ise taswir ka dukh samjhegi

hanste hanste hi sunegi wo meri ghazlon ko
phir mere dard ko bhi mir ka dukh samjhegi

kaise auraq bataenge kahani meri
diary kyun meri tahrir ka dukh samjhegi

main wirasat mein mila taj-mahal hun us ko
mujh ko haaregi to taskhir ka dukh samjhegi

mujh ko bhuli hai jo shohrat ko asasa jaane
khud se bichhdegi to tashhir ka dukh samjhegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close