panw mein qais ke zanjir bhali lagti hai yun hi diwane ki taswir bhali lagti hai apni kya tujh se kahun tu hi kah apni mujh se ki mujhe teri hi taqrir bhali lagti hai khush-numa hai tere aariz pe ye khat yun jis tarah gird quran ke tafsir bhali lagti hai jab mere khun mein hoti hai wo rangin qatil us ghadi kya teri shamshir bhali lagti hai hoti hai aashiq o mashuq ki jis mein taswir apni aankhon mein wo tamir bhali lagti hai meri taswir ko ghamnak tu khinch ai mani shakl ushshaq ki dil-gir bhali lagti hai 'mushafi' baje hai naubat to dar-e-'asif' par kya hi aawaz-e-bam-o-zer bhali lagti hai