tujhe kuchh bhi khuda ka tars hai ai sang-dil tarsa hamara dil bahut tarsa are tarsa na ab tarsa main us par mubtala wo ghair mazhab shokh ab tarsa qayamat hai musalman aashiq aur mashuq hai tarsa faqat tir-e-nigah se to na dil ki aarzu nikli tere qurban laga ab ke koi is se bhi behtar sa na jaun main to us ke pas lekin kya karun yaro yakayak kuchh jigar mein aa ke lag jata hai nashtar sa pukara dur se de kar safir us ne to kya mera dhadak kar yak-ba-yak sine mein dil lota kabutar sa hua bimar tere ishq mein jo charkh-e-chaarum par masiha padh raha hai kuchh bichha kar apna bistar sa 'nazir' ek do gile karne bahut hote hain khuban se chalo ab chup raho bas khol baithe tum to daftar sa