panw zanjir parakhne mein abhi kachche hain ya tera hukm samajhne mein abhi kachche hain ped be-mausmi baaton ka bura man gaya warna kuchh phal hain jo chakhne mein abhi kachche hain hum se kya hogi talluq mein burai sahab hum to bohtan hi ghadne mein abhi kachche hain itne logon mein koi dhang ka wahshi na mila ek do hain bhi to hansne mein abhi kachche hain qahqaha mar ke hansne mein mahaarat hai hamein lekin ek zakhm ko dhakne mein abhi kachche hain