jo aam sa ek sawal puchha to kya kahenge kisi ne hum se bhi haal puchha to kya kahenge jo sar ke bal khak mein gade hain kisi ne un se bulandiyon ka maal puchha to kya kahenge zamane-bhar ko to hum ne khamosh kar diya hai jo dil ne bhi ek sawal puchha to kya kahenge jinhen hamare lahu ki lat hai kisi ne un se khumar-e-rizq-e-halal puchha to kya kahenge jise ghazal mein barat ke hum dad pa chuke hain kisi ne us dukh ka haal puchha to kya kahenge agar hum us ki khushi mein khush hain to doston ne jawaz-e-hizn-o-malal puchha to kya kahenge ye hum jo auron ke dukh ka theka liye hue hain kisi ne is ka maal puchha to kya kahenge jo apni jaanen bacha ke khush hain 'kabir' un se kisi ne basti ka haal puchha to kya kahenge