par zara TuTe hue se meri taqdir ke hain

par zara tute hue se meri taqdir ke hain
hausle zinda magar aaj bhi tamir ke hain

jab lahu aankh se tapkega chamak jaenge
rang phike abhi ehsas ki taswir ke hain

khwab jo tum ne dikhae the wo sab dekh liye
masale ab to yahan khwab ki tabir ke hain

khub pahchanta hai dil tere tiron ka mizaj
zakhm jitne bhi lage hain wo tere tir ke hain

zindagi ek tasalsul gham-o-alam ka hai
aur hum log bhi qaidi usi zanjir ke hain

nafraten phut padin ban ke lahu ka sailab
kitne zahrile ye jumle teri taqrir ke hain

sahib-e-lauh-o-qalam us ke siwa koi nahin
sare gul-bute 'niyaz' us ki hi tahrir ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close