sabz raaton ka na chamkile dinon ka rang hai

sabz raaton ka na chamkile dinon ka rang hai
samne aankhon ke bujhta rakh jaisa rang hai

rang ki buniyaad par tafriq hai gahra fareb
jism ke andar to sab mein ek jaisa rang hai

tursh ehsasat mein ab ghulti jati hai mithas
tum jo aae ho to har shai par sunahra rang hai

main tumhein taswir kah dun to bura mat manna
kitne dil-kash khal-o-khat hain kitna achchha rang hai

jism ki dharti pe har jazba khula hai phul sa
lazzaton ki aankh mein har rang hansta rang hai

dhund ke is par hum hain aur siyahi waqt ki
dhund ke us par suraj hai sunahra rang hai

jab wafa ki dhup chamkegi to khud ud jaega
pyar ke rangin libason par jo kachcha rang hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close