paran piritam pe war kar dekho sar se gathri utar kar dekho wo yam-e-zat ho ki rud-e-furaat koi dariya to par kar dekho pus ki os se badan dho kar mas ko mushk-bar kar dekho mushk tha mu-burida hathon se sar ko kandhon pe bar kar dekho suno jangal mein panchhiyon ki sada bahte dariya se pyar kar dekho odh kar tan pe tishnagi ki rida man ko mohan ke dwar kar dekho ho ke mitti mito sajan ke liye mar ke marqad nikhaar kar dekho utro bachpan ke nardban se phir ban mein chidiyon ko mar kar dekho karbala ke jari jiyale log khud ko un mein shumar kar dekho marifat kya hai jaan jaoge is pe tan man nisar kar dekho lab pe aawaz-e-haq rahe qaem jang jito ki haar kar dekho qayas ban-bas sab saphal honge sada ko sudh singhaar kar dekho mango shabbir ki shanasai gham pe mat inhisar kar dekho