nas nas mein nasha pyar ka mamur hua hai dil tere milan ke liye majbur hua hai wadi mein baras kar abhi barsat chhati hai chidiyon ki chahak se samay masrur hua hai aankhon ki guzargah se dar aaya hai dil mein tu mere tasarruf se bahut dur hua hai sau bar tera mera fasana hua yakja sau bar mare sang tu mazkur hua hai tu rang mahak rup mein aaya tujhe paya izhaar tere pyar ka bharpur hua hai