parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki sanam-khane mein aa kar jag uthi taqdir patthar ki tasawwur ne but-e-kafir ki dil mein shakl khinchi hai tamasha dekhiye shishe mein hai taswir patthar ki tasawwur dil mein ashk aankhon mein lab par mohr-e-khamoshi bana baitha hun un ki yaad mein taswir patthar ki adab se zahid-e-kaba-nashin bhi chum leta hai tumhaare dar se lag kar badh gai tauqir patthar ki gire aankhon se itne lakht-e-dil yaqut ban ban kar nazar aata tha tar-e-ashk ek zanjir patthar ki na bal aa jae 'jauhar' dast-e-nazuk mein khuda-hafiz idhar hai sakhti-e-jaan aur udhar shamshir patthar ki