sada-e-rahguzar ko taras gaya hun main tumhaare sath safar ko taras gaya hun mein na jaane kya hui mujh se kisi ki haq-talfi laga ke ped samar ko taras gaya hun main shajar pe baithe parinde uda diye the kabhi ab apne ghar mein bhi ghar ko taras gaya hun main haram rozi ka luqma chaba liya tha kabhi duaen kar ke asar ko taras gaya hun main utha jo sar se mere waldain ka saya to ek shafiq nazar ko taras gaya hun main mere nasib ko tarikiyon ne gher liya wo shab mili ki sahar ko taras gaya hun main zamin ke chand ka didar kya hua 'shaida' to aasman ke qamar ko taras gaya hun main