parda-dar hasti thi zat ke samundar mein husn khub khul khela is sifat ke manzar mein husn ishq mein hai ya ishq husn mein muzmar jauhar aaine mein ya aaina hai jauhar mein ishq-e-mahshar-ara ki tur par giri bijli husn-e-lan-tarani ki rah saka na chadar mein dekh ai tamashai gul hai rang-o-bu bilkul imtiyaz na-mumkin hai arz se jauhar mein gul mein aur bulbul mein kaun jaane kya guzri chashm-posh masti thi is barahna manzar mein upchi banate hain husn ko sukhan go kyun kat in adaon ka kab hai tegh-o-khanjar mein fart-e-soz-e-ulfat mein dekh kar sakun dil ka bijliyan machalti hain baadalon ke mahshar mein chaaragar ko hairat hai irtiqa-e-wahsaht se panw mein jo chakkar tha aa raha hai wo sar mein hasrat aarman ki ho kahna se gunjaish hai wahi mere dil mein hai wahi mere sar mein hon wo rind ya sufi mast us ki dhun mein hain jaane kitne mai-khane bhar diye hain kausar mein charkh kya utar aaya aaj farsh-e-giti par rind bhi hain chakkar mein mai-kada bhi chakkar mein mai wo hosh par afgan aur nazar wo sahba-pash mast kyun na ho 'kaifi' ek do hi saghar mein