qais ka tujh mein junun jazba-e-mansur nahin warna manzil-gah-e-dildar to kuchh dur nahin koh-o-wadi wahi bijli wahi be-hoshi bhi jalwa lekin wo dil-afroz sar-e-tur nahin dhundne jaun kise jaun to main jaun kahan dil ke jo pas hai wo aankh bhi kuchh dur nahin pher mein zat-o-sifat ke na sarasima ho nahin malum ki jauhar se araz dur nahin nazar aata nahin tujh ko to hai aankhon ka qusur aks se shakhs haqiqat mein zara dur nahin jalwa-saman hai rah-e-ishq mein zarra zarra sahab-e-zauq-e-nazar muntazir-e-tur nahin amr-e-haq harf-e-azal hai to ye fatwe kaise wo nai baat nahin main koi mansur nahin jhut sach us ko hai yaksan wo hai apni dhun ka haq-shanasi mere naqqad ka dastur nahin kibr hi se to azazil hai shaitan-e-rajim aadmi hai wahi insan jo maghrur nahin kya tamasha hai liye jate hain taqdir ka nam aur tadbir se ek lahza bhi mazur nahin nahin taqdir ki tahrir se inkar magar is mein tadbir muqaddar hai jo mazkur nahin aap taqdir sudhar jaegi tadbir to kar kaun kahta hai ki insan ko maqdur nahin tu awariz se awariz ki hai tujh se parwaz tu jo mutlaq nahin mukhtar to majbur nahin zarre zarre ko hai ek farz wadiat haq se na samajh to koi qaisar nahin faghfur nahin kar-gah-e-amal is dahr ko wo samjhe hain gul-o-bulbul ke karishmon se jo matur nahin kal main mil-jul ke rahe juz ka usi mein hai waqar fard nachiz hai gar shamil-e-jamhur nahin kyun khiche rahte hain ye shaikh-o-barahman baham dair kaba se jo haq par ho nazar dur nahin adab-o-sher ka aalim hai wo wahdat-e-ain ki jahan kafir-o-din-dar ka mazkur nahin had-e-jughrafiya se sher ki duniya hai juda dur kilas se do gaz bhi yahan tur nahin kaif baqi hai wo is mein ki nahin jis ko khumar baada-e-sher koi baada-e-agur nahin saqi-e-mast-nazar hai ye fusun ya eajaz sab ko madhosh kiya aap to makhmur nahin saghar ek aur bhi de pir-e-mughan 'kaifi' ko nashsha-e-be-khudi-e-ishq mein wo chur nahin