parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai

parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai
khwab ki aankh mein tabir chhupi hoti hai

us ko le aata hai qirtas-o-qalam par mani
jab kisi lafz mein tasir chhupi hoti hai

maktab-e-dil se hunar sikh use padhne ka
sade kaghaz mein jo tahrir chhupi hoti hai

waqt karta hai numayan badi mashshaqi se
wasl mein hijr ki taswir chhupi hoti hai

laut ke ghar ki taraf yunhi nahin aa jata
pa-e-azad mein zanjir chhupi hoti hai

zindagi ek kharabi hai teri galiyon mein
har nae mod pe taqdir chhupi hoti hai

qasr mein daudti phirti hai koi bechaini
aur kuen mein koi takhir chhupi hoti hai

is liye dekhta rahta hun sarapa har dam
tere har matn mein tafsir chhupi hoti hai

had ki sarhad se nikal aaun to har raste mein
pul-siraati koi tazir chhupi hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close