kohsar-e-hunar mujh se abhi sar na hua tha main chaak-e-gareban ka rafu-gar na hua tha diwar ki tahrir ne koshish to bahut ki aamokhta aksar mujhe azbar na hua tha duniya ke liye mujh mein kashish kis liye hoti gardish mein raha main kabhi mehwar na hua tha malum use khub the ek sar ke masarif diwar bana shakhs kabhi dar na hua tha us ke to makan jaise khad-o-khal nahin the jab tak ki yahi dasht mera ghar na hua tha darogha-e-gham khub nazar rakhte the lekin ek saneha is dil pe muqarrar na hua tha har nind ke pahlu mein kai phul the lekin tabir se har khwab moattar na hua tha is bar sitaron ne bhi 'atiyat diye the is bar magar chand munawwar na hua tha