parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona shama se sikh sharik-e-gham-e-mahfil hona bazm-e-hasti pe hai mushkil mera mail hona mujhe aata nahin sar-gashta baatil hona nakhuda tu mujhe aaluda-e-tufan na samajh mauj-e-dariya ko sikhata hun main sahil hona sazgar aaj mujhe rah bhi hai rahbar bhi meri qismat mein hai aasuda-e-manzil hona rishta-e-hosh hai wabasta tujhi se ai dost kabhi mumkin nahin tujh se mera ghafil hona dil se hoshiyar ki hai dil hi tarah ain hayat maut se bhi hai siwa be-khabar-e-dil hona sai ke baad na kar kawish-e-fikr-e-anjam laanat-e-sai hai zahmat-kash-e-hasil hona barish-e-abr se bijli ki lagi bujh na saki ghair-mumkin hai ilaj-e-tapish-e-dil na hona har qadam par rah-e-hasti mein nai thokar hai ai 'ziya' sahl nahin faez-e-manzil hona