phir jo katti nahin us raat se khauf aata hai so hamein sham-e-mulaqat se khauf aata hai mujh ko hi phunk na dalen kahin ye lafz mere ab to apne hi kamalat se khauf aata hai kat hi jata hai safar sahl ho ya mushkil ho phir bhi har bar shuruat se khauf aata hai wahm ki gard mein lipte hain sawal aur hamein kabhi nafi kabhi isbaat se khauf aata hai aise thahre hue mahaul mein 'rahman'-hafiz in guzarte hue lamhat se khauf aata hai