parda hata ke jab wo hasin muskuraega bijli hamare hosh-o-khirad par giraega kya thi khabar ki tark-e-talluq ke baad bhi hum ko wo shokh parda-nashin yaad aaega ummid-o-arzu ki tabahi to dekh li ab aur kya hamein ye muqaddar dikhaega ai qalb-e-zar sabr-o-tahammul se kaam le kab tak kisi ki yaad mein aansu bahaega meri zaban se sun na sake wo agar to kya rudad meri un ko zamana sunaega jis raaz ko chhupa na sake qais-o-kohkan ai qalb-e-gham-nasib tu kaise chhupaega 'nayyar' ghamon ki tez hawaon ke samne kab tak khayal-o-khwab ki shama jalaega