parda jo ru-e-yar se uttha barae-nam dekha bhi hum ne us ko to dekha barae-nam utha pahad kat ke duniya se kohkan shirin ka ho ke rah gaya shohra barae-nam ahl-e-wafa ko aaj koi puchhta nahin hai bhi agar wafa ka to charcha barae-nam milte hi aankh tur pe ghash kha ke gir pade dekha kalim ne tera jalwa barae-nam do din bane hue na hue the ki jal gaya bulbul ne aashiyane ko barta barae-nam