parda raha ki jalwa-e-wahdat-numa hua ghash ne khabar na di mujhe kab samna hua dushman ki dosti ka natija bura hua khanjar gale mila to mera sar juda hua mahshar mein rang-e-chehra-e-zalim hawa hua sach hai bura hua ki mera samna hua gulshan se uth ke mera makan dil mein aa gaya ek dagh ban gaya hai nasheman jala hua kya tirgi liye hue aai shua-e-nur dekha shab-e-firaq azal ka likha hua ghar dil mein kar chuka hai mera nauha-e-qafas sayyaad qaid hoga agar main riha hua jab tak tha main uruj pe tha husn-e-jaan-sitan phir kuchh khabar nahin ki mere baad kya hua kahne ko musht-e-par ki asiri to thi magar khamosh ho gaya hai chaman bolta hua tu jis mein tha wo manzil-e-hasti mein hai zarur meri fana se dil mera kyun kar fana hua nind un ki yun udi hai ki aati nahin kabhi marne ke baad ab mera nala-rasa hua sayyaad ka ghar aaj hai jaise chaman tha kal shayad qafas ka baithne wala riha hua taswir meri umr-e-guzishta ki dekh jao turbat pe ek charagh hi wo bhi bujha hua apne bhi mujh se khush na rahe bagh-e-dahr mein bigda kiya mujhi se nasheman bana hua chamka hai kuchh wo jalwa-e-rukh ho ki dagh-e-ishq donon dilon mein ek na ek mubtala hua dhunde na mil sake mujhe zulmat mein mah-o-sal ru-e-sahar bhi chashma-e-ab-e-baqa hua ek umr ho gai ki hai barish mein chashm-e-tar ab tak na koi nakhl-e-tamanna hara hua 'saqib' khabar na thi ki falak mein hain gardishen main aa ke dana-e-dahn-e-asiya hua