wufur-e-shauq ki rangin hikayaten mat puchh labon ka pyar nigah ki shikayaten mat puchh kisi nigah ki nas nas mein tairte nishtar wo ibtida-e-mohabbat ki rahaten mat puchh wo nim-shab wo jawan husn wo wufur-e-niyaz nigah o dil ne jo ki hain ibaadaten mat puchh hujum-e-gham mein bhi jina sikha diya hum ko gham-e-jahan ki hain kya kya inayaten mat puchh ye sirf ek qayamat hai chain ki karwat dabi hain dil mein hazaron qayamaten mat puchh bas ek harf-e-baghawat zaban se nikla tha shahid ho gain kitni riwayaten mat puchh ab aaj qissa-e-dara-o-jam ka kya hoga hamare pas hain apni hikayaten mat puchh nishan-e-hitlari-o-qaisari nahin milta jo ibraton ne likhi hain ibaraten mat puchh nashat-e-zist faqat ahl-e-gham ki hai miras milengi aur abhi kitni daulaten mat puchh