parda rukh-e-fitrat se hata kar nahin dekha manzar pe nazar thi pas-e-manzar nahin dekha ansar ke khanjar pe muhajir ka lahu hai tarikh ne aisa kabhi manzar nahin dekha patthar ki siyasat se jo mahfuz raha ho aisa kisi shishe ka muqaddar nahin dekha thi dastaras-e-fikr mein wo saat-e-khush-rang khushbu ka badan tha use chhu kar nahin dekha wo shahr ke hangamon mein khamosh khadi hai shayad shab-e-hijran ne mera ghar nahin dekha tarshe to sanam pighle to shishe ki nazakat ai kam-nazro tum ne wo patthar nahin dekha jhukne nahin deti hai ana tishna-labi ko dariya ki taraf main ne palat kar nahin dekha hai us ko bahut quwwat-e-bazu pe bharosa dariya ke shanawar ne samundar nahin dekha hai gham hi se labrez to phir kaisi masarrat kya tu ne mera zarf-e-muqaddar nahin dekha