zindagi chhod gai be-sar-o-saman mujhe umr-bhar yaad raha aap ka ehsan mujhe be-hikayat mere ehsas ki taswir magar har zamane ka banae koi unwan mujhe qata kar de jo zamane se talluq mera bakhsh de is gham-e-hasti ka tu irfan mujhe log dekhenge tujhe shahr mein charcha hoga ghaur se dekh meri samt na pahchan mujhe dard ki lahar uthi main ne sambhaala dil ko kar diya hai meri nazron ne pasheman mujhe na koi naqsh-e-qadam hai na koi gard-e-safar dur tak rah nazar aai hai sunsan mujhe dil ne phir un se na milne ki qasam khai hai dekh len wo na kisi waqt pareshan mujhe main ne joda gham-e-jaanan se talluq 'anjum' jab dikhai na diya aish ka imkan mujhe