parda ulaT ke usne jo chehra dikha diya

parda ulat ke us ne jo chehra dikha diya
rang-e-rukh-e-bahaar-e-gulistan uda diya

wahshat mein qaid-e-dair-o-haram dil se uth gai
haqqa ki mujh ko ishq ne rasta bata diya

phir jhank-tak aankhon ne meri shurua ki
phir gham ka mere nalon ne lagga laga diya

angdai donon hath utha kar jo us ne li
par lag gae paron ne pari ko uda diya

sikhi hai us jawan ne pir-e-falak ki chaal
hir-phir ke mujh ko khak mein aakhir mila diya

wo sair ko jo aae to sadqe mein un ko 'barq'
har ek gul ne tair-e-nikhat uda diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close