safar mein faslon ke sath baadban kho diya utar ke paniyon mein hum ne aasaman kho diya yahi ki in nafas-ghubar saaton ke darmiyan hawa ne git rah-guzar ne sarban kho diya ye kaun sawanon mein khwab dekhta hai dhup ke ye kis ne e'tibar-e-gham pas-e-guman kho diya bas ek harf ka gudaz us pe qarz tha so wo bichhadte waqt khamushi ke darmiyan kho diya firaq manzilon ka ek ghubar tha ki jis ghadi charagh-e-shab ne aur dil ne mehman kho diya ruton mein ek rut yahan shajar bhi katne ki thi pata chala jab apne ghar ka pasban kho diya bacha liya tha khwab jo masafaton ki dhup se wo abr-o-baad manzaron ke darmiyan kho diya wo nind apne bachpane ki rah mein ujad gai us aankh ne bhi mojazon ka ek jahan kho diya