parda utha ke mehr ko rukh ki jhalak dikha ki yun bagh mein ja ke sarw ko qad ki lachak dikha ki yun aatish-e-gul chaman ke bich jab hama su ho shola-zan apne libas-e-surkh ki us ko bhadak dikha ki yun jo koi puchhe jaan-e-man shokhi o jalwa kis tarah lama-e-barq ki tarah ek jhamak dikha ki yun shishe ke bich dukht-e-raz karti hai shokh-chashmiyan tu bhi tuk apni chashm ki us ko bhadak dikha ki yun nazren milawe gar koi tujh se kabhi to jaan-e-man us ke tain tu dur se aankhen tanik dikha ki yun kabk o tadrau gar karen aage tere khiram-e-naz apne khiram-e-naz ki un ko latak dikha ki yun raaton ko tujh se jagna gar koi puchhe 'mushafi' chasm-e-sitara baz hain us ko falak dikha ki yun