tuk hont hilaun to ye kahta hai na bak be aur pas jo baithun to sunata hai sarak be kahta hun kabhi ghar mein mere aa to hai kahta chaukhat pe hamari koi din sar to patak be jab badr nikalta hai to kahta hai wo maghrur kah do use yan aan ke itna na chamak be parda jo ulat dunga abhi munh se to dam mein ud jaegi chehre ki tere sab ye jhamak be sab bankpan ab tera 'nazir' ishq ne khoya kya ho gai sach kah wo teri dut dubak be