parde mein lakh phir bhi numudar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-bazar kaun hai wo samne hai phir bhi dikhai na de sake mere aur us ke beach ye diwar kaun hai bagh-e-wafa mein ho nahin sakta ye faisla sayyaad yan pe kaun giraftar kaun hai mana nazar ke samne hai be-shumar dhund hai dekhna ki dhund ke is par kaun hai kuchh bhi nahin hai pas pe rahta hai phir bhi khush sab kuchh hai jis ke pas wo bezar kaun hai yun to dikhai dete hain asrar har taraf khulta nahin ki sahab-e-asrar kaun hai 'amjad' alag si aap ne kholi hai jo dukan jins-e-hunar ka yan ye kharidar kaun hai