parde meri nigah ke bhi darmiyan na the kya kahiye un ke jalwe kahan the kahan na the jis raste se le gai thi mujh ko be-khudi us rah mein kisi ke qadam ke nishan na the raaz-ashna hai meri nazar ya phir aaina warna wo apne husn ke khud raaz-dan na the kuchh be-sada se lafz nazar kah gai zarur mana lab-e-khamosh rahin-e-bayan na the aae to yun ki jaise hamesha the mehrban bhule to yun ki jaise kabhi mehrban na the 'ashraf' fareb-e-zist hai kab imtihan se kam is ke siwa to aur yahan imtihan na the