pareshan hain khirad-mandon ki hairani nahin jati mitai aql se tahrir-e-peshani nahin jati bhulata hun unhen jitna wo utne yaad aate hain khalish zakhm-e-mohabbat ki ba-asani nahin jati agar ho shisha-e-dil saf to dam-bhar mein khul jae haqiqat kyon khuda-e-pak ki jaani nahin jati muqaddar mein jo likkha hai wo badla hai na badlega khudai hukm mein hujjat koi mani nahin jati kisi ka jalwa-e-rangin kahin ek bar dekha tha magar ab tak nigahon ki wo hairani nahin jati hawas didar ki dil se jo nikle bhi to kya nikle bahaar-e-husn ki jab jalwa-samani nahin jati hayat-e-chand-roza ke tamashon mein hain gham aise hamare dil se hirs-e-alam-e-fani nahin jati hamari zindagi hai ek bahaar-e-be-khizan 'aqil' hamare tair-e-dil ki ghazal-khwani nahin jati