pareshani nahin jati ki hairani nahin jati nahin jati to han tahrir-e-peshani nahin jati na ho ikhlas jis mein nazr wo mani nahin jati mohabbat ki kabhi bekar qurbani nahin jati mere hisse mein to aai nahin jamiyat-e-khatir teri zulfon ki aakhir kyon pareshani nahin jati agar tum samne aao to kya barpa qayamat ho ki is parde pe bhi jalwon ki tabani nahin jati junun-mashrab bayaban mein rahen ya bagh mein lekin ba-rang-e-gul kahin bhi chaak-damani nahin jati tumhaari baat to hai aur lekin hum gharibon ko jo mushkil pesh aati hai ba-asani nahin jati rahi hain jin se baaten muddaton khalwat mein jalwat mein ab un se bhi meri aawaz pahchani nahin jati masaib ki ghataon mein nahin bujhte mere tewar sawad-e-zulm mein chehra ki tabani nahin jati nigah-e-mehr un ki lakh parda-posh ho 'wasif' gunahgar-e-mohabbat ki pashemani nahin jati