pari safar mein ramaq tak nahin gai hogi mujhe pata hai dhanak tak nahin gai hogi ye aasman jo mamul ke mutabiq hai zamin ki chikh falak tak nahin gai hogi nazar mein aati hui tirgi khalaon beach ye raushni bhi chamak tak nahin gai hogi use khabar hai tabiat hi meri aisi hai mujhe yaqin hai wo shak tak nahin gai hogi ye lafz yunhi pighalte rahenge kaghaz par ye aag shahr-e-khunak tak nahin gai hogi phir aasman ka manzar jala hua dekha kisi ki aankh parakh tak nahin gai hogi wo phir khamosh nigahen liye hue 'basit' meri kisi bhi jhalak tak nahin gai hogi