uth raha hai dam-ba-dam dar ka dhuan kam nahin ho pa raha ghar ka dhuan kashtiyon ki aag dafnane ke baad dekh le sahil samundar ka dhuan donon jaanib ek jaisi aag hai donon jaanib hai barabar ka dhuan samne to scene hai behtar magar kya pata pichhe ho manzar ka dhuan khidkiyan sari ki sari khol kar dekhta rahta hun bahar ka dhuan jang ke aasar hain baqi abhi aa raha hai pas lashkar ka dhuan