pari tum ho meri jaan hur tum ho mah-laqa tum ho jahan mein jitne hain mashuq un sab se juda tum ho sarapa naz ho lakhon mein yakta dilruba tum ho main hairan hun samajh mein kuchh nahin aata ki kya tum ho khuda ne apne hathon se tumhein aisa banaya hai khuda ki shan bhi kahti hai han shan-e-khuda tum ho na bolo karwan-e-zindagi ab lutne wala hai chalo is tarah se goya dara-e-be-sada tum ho tumhaara martaba allahu-akbar kya thikana hai tumhein jitna main samjha hun kahin us se siwa tum ho tumhaari be-rukhi ka bhi muamma hal nahin hota ki aalam-ashna ho aur phir na-ashna tum ho mubarak munimon ko daulat-e-duniya ho aalam mein hamari aarzu tum ho hamara muddaa tum ho har ek ghamza tumhaara aashiqon ko zabh karta hai ki khush-andaz ho khush-naz ho aur khush-ada tum ho hamin donon se hai marbut ishq-o-husn ka aalam ki is ki ibtida main hun aur is ki intiha tum ho tumhin se kashti-e-jaan-e-hazin aaegi sahil tak muhit-e-ishq mein ai hazrat-e-dil nakhuda tum ho mai-o-mashuq se kya baat kuchh matlab nahin rakhte batao to kahan ke 'sabr' aise parsa tum ho