parinda aaine se kya ladega fareb-e-zat mein aa kar marega mohabbat bhi badi lambi sadak hai barhana-pa koi kitna chalega hamare jagne tak dekhna tum hamare khwab ka charcha rahega hamari khak se duniya bani thi hamari rakh se ab kya banega ye chingari bhadak utthegi ek din miyan ye ishq hai ho kar rahega tujhe duniya ki aadat pad gai hai akela rah gaya to kya karega main tere sath mar sakta hun lekin tu mere sath kya zinda rahega abhi se soch lo khana-badosho hamari rah mein sahra padega samundar ne rawani sikh li hai mere dariya tumhaara kya banega