parinda qaid mein kul aasman bhul gaya riha to ho gaya lekin udan bhul gaya mere shikar ko tarkash mein tir laya magar wo meri jaan ka dushman kaman bhul gaya use to yaad hai sara jahan mere siwa main us yaad mein sara jahan bhul gaya wo shakhs zindagi bhar ka thaka hua tha magar jo panw qabr mein rakkhe thakan bhul gaya gharib-e-shahr ne rakkhi hai aabru warna amir-e-shahr to urdu zaban bhul gaya tamam shahr ka naqsha banane wala 'raza' junun-e-shauq mein apna makan bhul gaya